Tuesday, October 18, 2016

Everything You Need to Know About Rooting Your Android Phone[explain Hindi urdu]



Assalam U alikum 
All viewers main hoon Ansari Rizwan rbustaad ki janib se is post ke zarye main aap ko bataonga rooting ke baare me aap ne suna hoga android mobile ko root karne ke baare me to root kya hai  or mobile ko root karne se kya faide hai or kya hai root ke nuksan aaj ham samjhe ge,  
 
Root ka meaning hai jadd darakht ki jadd sam way jab aap mobile ko root karte ho to samajh lo ke aap apne (software) mobile  ki jadd tak pahonch gae ho phir sara control aap ke haath me hai

Agar main baat karu nuksan ki to meri nazar me 2 nuksan hai 

1st: nuksan ye hai ke jaise hi aap apna mobile ko root karte hain aap ke mobile ki jo warranty hoti hai wo khatam ho jati hai, sabhi company aisa nhi karti pr jo badi company hai jaise samsung, sony,
htc, etc

2st:nuksan hai "hacking" jab aap apne mobile ko root karte ho to aap ne us security system ko tod diya jo aap ko company ki taraf se di gae thi ab aise me agar aap ke mobile  ko kisi ne hack kar liya to hacker b aap ke software ki jadd tak pahonch jaega or jaise chahe ga waise handle kare ga,

Ab baat karte hai faede ki faeda ye hai k aap jaise chahe waise apne mobile ko customize kar sakte hai har tara se aap ka kabu hai jaise 
Ads remove kar sakte hai license remove karsakte hain internal memory ko bada sakte hai ram increas kar sakte hai bettary timing ko bada sakte hai
 etc
aaj ki date me bahot si apps mile gi play store me jo sirf root mobile ko hi sapport karti hai
Jab aap un app ko install karte ho to wo super su ki permition mangti hai take wo software ki jadd tak ja kr apna kamal dikhaye or agar aap use permition de dete ho to phir wo aap ko bahot support karti hai

Zarori nhi hai ke aap mobile ko root karo pahele aap dekh lo ke jo nuksan ho raha  hai is se aap ko farak padta hai ya nhi phir mobile ko root karo rhi baat apps ki to jaise jaise android ke new version 
 Aate hain waise waise google wala us me new featur add karta hai or jo app do teen saal pahele sirf root karne k baad hi chalti thi abhi wo  bina root kiye b  chalti hai
Ummed karta hoon aap samajh gae hoge phir milega
(Allah Hafiz)

Difference Between 32-Bit vs. 64-Bit Operating Systems?[Hindi Urdu]



AssalamU alikum
All viewers main hoon ansari rizwan
Aaj ham baat kare ge 32bit or 64bit ke processor ke bare me 64bit ka jo processor hai ye AMD ne lounch kiya 2003 me computer ke liye or uske thik 10 saal baad apple ne lounch kiya 2013 me iphon5s ke saath or aaj ki date me sabhi smart phon ki specification me dekhne ko milta hai 32bit or 64bit ka processor aise me ek normal user ke liye ye jaanna zarori hai ke 32bit or 64bit ke processor me kya antar hai or ise ham kis trah se compare kar sakte hain aaj main aap ko aise 3 points bataonga jis se aap 32bit or 64bit ke processor me compresion kr payen ge chalye start krte hain



1) memory addressing
Pahela point hai memory addressing ka 32bit ka jo processor hai wo 4GB Ram tak hi kaam me le sakta hai agar aap ke mobile me ya computer me 4GB se uper ram lagi hai to aap ko 64bit ke processor ka use karna padhega aisa kiyon hota hai dekhye jo 32bit ka processor hai us me  32 bits hoti hai matlab 32 aisi velues hoti hai jis ko aap alag alag zero ya one me change kar sakte hain or wo jo 32 velues hai wo bas 4GB ram tak hi address ko apne pass stored kr sakti hai or jo 64bit ka processor hai wo 16 billones gega bytes tak address ko apne pass store kar sakta hai

2) calculation speed
Dosra jo point hai wo hai calculation speed ka 32bit ka jo processor hai wo 32 bit ke 2 integer pe calculation kar sakta hai or 64bit ka jo processor hai wo 64bit ke 2 integer pe calculation kar sakta hai


3) operating system support
Aap ka jo software hai jo aap ka operating system hai agar wo 64bit ke processor ko support nhi karte hain to ek 32bit ka processor or ek 64bit ka processor ek dam ek jaise hoge
Android me aap ko lollipop or marshallow me 64bit ka support milta hai or iphon me ios7 ke baad 64bit ka support milta hai for example aap ke mobile me kitkat os hai or us ka processor 64bit ka hai to aap ko 64bit ke processor ka koi faeda nhi hoga kiyon ki aap ke mobile me na to 4GB se upar ram hai or na hi aap ke software me wo qabiliyat hai ke wo usse itna calculation karwa sake jitna wo kar sakta hai
Matlab ye aap ke mobile me agar ram 4GB se zeyada hai to aap ko 64bit ka processor chahiye ya aap ke mobile me lollipop ya marshallow install ho tabhi aap 64bit ke processor ka faeda utha sakte hain
Ummeed karta hoo aap samajh gae hoge phir mile ge
(Allah Hafiz)

Sunday, October 16, 2016

memory card storage information (Hindi)

Assalam U alikum all viewers main hoon ansari rizwan rbustad ki janib se,

Is post me main aap ko bataonga ke aap k memory card ki jo storage hai wo kam kiyon batati hai, aksar aap logo ne dekha hoga ke memory card ki jo storage hai, wo kam hoti hai phir chahe wo 1GB ka ho ya 64 GB ka available space utni nhi batati jitni aap ne kharidi hai

Asal me ye farq jo hai ye calculation ka hai jo hame school me pathaya jata hai jaise
 
8bit        =  1Byte
1024Byte  =  1kb
1024kb      =  1MB
1024MB     =  1GB

TO yahi farmola mobile company or computer laptop ki company b use karti hai,  pr jo memory card ya hard drive ki company hai wo thoda alag farmola use karte hain wo kaheta hai

8bit=1Byte To thik hai
1000Byte=1kb matlab 1kb ke peeche 24Byte ka nuksan
1000kb=1MB 1MB ke peeche 24 kb ka nuksan
1000MB=1GB 1GB me 24 MB ka nuksan

IS tarah hr calculation me hamare hesab se 24MB KA lost hota hai is tarah 24+24+24 matlab 72 MB KA 1GB me lost aata hai
 memory card ki jo company hai wo apne farmole se sahi banati hai 1000 Byte=1kb lekin jab ham ise mobile ya computer me lagate hain to wo use 1024Byte=1kb ke hisaab se check krta hai is liye hame 1GB me 72MB ka lost batata hai Agar aap 2 gb ka memory card lete hain to 72+72=144MB ka lost aayega phir ushi tarah aap check kare 1GB ME 72 MB ke hesab se ummeed krta hoon ab aap samajh gae hoge

Allah Hafiz

Saturday, October 15, 2016

What is a Kernel?Android Kernel Explained in Detail [Hindi Urdu]

Assalam U Alikum All viewers main hoon ansari rizwan is post me ham baat kare ge kernel ke baare me main us kernel ki baat nhi kr rha hoon jo milaitry ko handle krta hai balke us kernel ki jo aap k mobile ko handle karta hai aap jae mobile ki setting me phir about device me
waha aap ko dekhe ga kernel version to ye kya hai or kaise kaam karta hai is baare me ham log discus karege dosto kernel sirf mobile me nhi balke sabhi oprating system me hota hai phir chahe windows linux mac android symbian java sabhi oprating system me kernel hota hai sabhi mobile me apple samsung nokia all kinds of mobile ok ye aap ke software or hardware ke beech as a bridge kaam karta hai matlab ye k jo aap ka software hai ye directly aap ke hardware ko use nhi karsakta software or hardware ke beech kernel hota hai
jaise aap ke mobile me torch ki app hai jab aap use on karte hai to jo camera ka flash light hai wo on ho jata hai asal me hota ye hai ke jo torch ki app hai wo request send karta hai kernel ko or phir kernel flash light ko on kar deta hai or aap use as a torch istemal kar lete hain usi tarah jab aap wifi on karte hain to jo wifi ki app hai wo kernel ko batati hai ke user wifi ko on karna chahate hai phir kernel wifi ka ek modul aap ke mobile me laga hota hai wo use on kar deta hai ishi tarah aap jo b use karte hai un ke beech kernel hota hai matlab ye k kernel aap k hardware ko kai tarike se use kar sakta hai us me ye salahiyat hoti hai ummed karta hoon aap samajh gae hoge
(Allah Hafiz)

difference between memory card classes explain hindi

Assalam U Alikum All Viewers Main Hoon Ansari Rizwan or is post ke zarye main aap ko bataonga memory card ke baare me aksar aap jab memory card kharidne jaate hain to badi cofusion hoti hai kon sa memory
Kharide kiyon ke ek size or ek hi company ka memory card pr prize me bada farq hota hai to samjhe ge kya farq hai or kiyon
Dosto sab se pahele jo memory card tha micro sd
 ye technology
Bas 4 GB tak hi memory card banati hai us ke upar ka memory card nhi bana sakti us ke baad ek technology aayi jo micro sd HC matlab High capacity ke naam se
ye technology 32 GB tak memory card bana sakti hai phir uske baad ek or technology aaee jis ka naam micro sd XC ke naam se matlab extended capacity ye technology 2TB matlab 2 hazar GB tak memory card banasakti hai
us ke baad jo farq hota hai wo speed ka hota hai jaise memory card ke upar ya uske box pr likha hota hai ye kon C class ka hai jaise 4class 6class 10class ab ye class kya hoti hai class memory card ki speed batati hai agar 4class ka memory card hai to wo 4MB ps se data stored kar sakta hai jaise aap apne computer se koi data memory card me transfer karte hain to wo 4MB ki speed me transfer hoga phr chahe aap ka computer kitna b High quality
Ka ho usi tarike se 6class matlab 6MB ps ki speed or 10 class matlab 10 MB ps ki speed ab aap samajh gae hoge ke prize me antar kiyon hai is ke elawa 2 memory card or hai UHS SPEED CLASS 1 OR 3

 (Allah Hafiz)

Tuesday, December 1, 2015

GTA San Andreas Android CHEATS with GTA Cheater apk Hindi/Urdu

Easy way to use cheats in GTA San Andreas for Android.
DOWNLOAD & TUTORIAL : 

GTA SA Cheater application v2.1
https://play.google.com/store/apps/de...


INFO:

1. Make sure that you have at least one saved game in GTA SA
2. Install and run GTA SA Cheater apk
3. Choose save which you want to modify
4. Select cheats that you want to apply and press "SAVE" button
5. Go back to GTA, select Start Game, then Load Game and run modified save

!!! Keep in mind that selected vehicle will apear only on Grove Street near 1st CJ's house after opening garage !!!

Current Cheats
+ Infinite Health
+ Infinite Armor
+ Infinite Sprint
+ Maximum Money
+ Thug Weapons
+ Professional Weapons
+ Nutter Weapons
+ Minigun Cheat
+ Infinite Ammo
+ Spawn Tank
+ Spawn Jet Fighter
+ Spawn Helicopter
+ Spawn Sports Car
+ Spawn Monster Truck
+ Spawn Any Vehicle
+ Custom Respect
+ Custom Stamina
+ Custom Muscle
+ Custom Fat
+ Custom Sex Appeal