Saturday, October 15, 2016

difference between memory card classes explain hindi

Assalam U Alikum All Viewers Main Hoon Ansari Rizwan or is post ke zarye main aap ko bataonga memory card ke baare me aksar aap jab memory card kharidne jaate hain to badi cofusion hoti hai kon sa memory
Kharide kiyon ke ek size or ek hi company ka memory card pr prize me bada farq hota hai to samjhe ge kya farq hai or kiyon
Dosto sab se pahele jo memory card tha micro sd
 ye technology
Bas 4 GB tak hi memory card banati hai us ke upar ka memory card nhi bana sakti us ke baad ek technology aayi jo micro sd HC matlab High capacity ke naam se
ye technology 32 GB tak memory card bana sakti hai phir uske baad ek or technology aaee jis ka naam micro sd XC ke naam se matlab extended capacity ye technology 2TB matlab 2 hazar GB tak memory card banasakti hai
us ke baad jo farq hota hai wo speed ka hota hai jaise memory card ke upar ya uske box pr likha hota hai ye kon C class ka hai jaise 4class 6class 10class ab ye class kya hoti hai class memory card ki speed batati hai agar 4class ka memory card hai to wo 4MB ps se data stored kar sakta hai jaise aap apne computer se koi data memory card me transfer karte hain to wo 4MB ki speed me transfer hoga phr chahe aap ka computer kitna b High quality
Ka ho usi tarike se 6class matlab 6MB ps ki speed or 10 class matlab 10 MB ps ki speed ab aap samajh gae hoge ke prize me antar kiyon hai is ke elawa 2 memory card or hai UHS SPEED CLASS 1 OR 3

 (Allah Hafiz)

2 comments:

  1. Assalamo Alaikum Rizwan Bhai Aapka Tutorial Miracle box wala maine Dekha hai usmein mujhe Countary lock todne ka trick samajh mein nahi aaya.
    Plese bhai iska detail thoda email kar dijyega countary lock kaise todenge.Email hai (hedayatullah700@gmail.com)

    ReplyDelete
  2. Rizwan Bhai Aap apna whatsapp number bhej dijiyega please

    ReplyDelete