Saturday, October 15, 2016

What is a Kernel?Android Kernel Explained in Detail [Hindi Urdu]

Assalam U Alikum All viewers main hoon ansari rizwan is post me ham baat kare ge kernel ke baare me main us kernel ki baat nhi kr rha hoon jo milaitry ko handle krta hai balke us kernel ki jo aap k mobile ko handle karta hai aap jae mobile ki setting me phir about device me
waha aap ko dekhe ga kernel version to ye kya hai or kaise kaam karta hai is baare me ham log discus karege dosto kernel sirf mobile me nhi balke sabhi oprating system me hota hai phir chahe windows linux mac android symbian java sabhi oprating system me kernel hota hai sabhi mobile me apple samsung nokia all kinds of mobile ok ye aap ke software or hardware ke beech as a bridge kaam karta hai matlab ye k jo aap ka software hai ye directly aap ke hardware ko use nhi karsakta software or hardware ke beech kernel hota hai
jaise aap ke mobile me torch ki app hai jab aap use on karte hai to jo camera ka flash light hai wo on ho jata hai asal me hota ye hai ke jo torch ki app hai wo request send karta hai kernel ko or phir kernel flash light ko on kar deta hai or aap use as a torch istemal kar lete hain usi tarah jab aap wifi on karte hain to jo wifi ki app hai wo kernel ko batati hai ke user wifi ko on karna chahate hai phir kernel wifi ka ek modul aap ke mobile me laga hota hai wo use on kar deta hai ishi tarah aap jo b use karte hai un ke beech kernel hota hai matlab ye k kernel aap k hardware ko kai tarike se use kar sakta hai us me ye salahiyat hoti hai ummed karta hoon aap samajh gae hoge
(Allah Hafiz)

No comments:

Post a Comment