Sunday, October 16, 2016

memory card storage information (Hindi)

Assalam U alikum all viewers main hoon ansari rizwan rbustad ki janib se,

Is post me main aap ko bataonga ke aap k memory card ki jo storage hai wo kam kiyon batati hai, aksar aap logo ne dekha hoga ke memory card ki jo storage hai, wo kam hoti hai phir chahe wo 1GB ka ho ya 64 GB ka available space utni nhi batati jitni aap ne kharidi hai

Asal me ye farq jo hai ye calculation ka hai jo hame school me pathaya jata hai jaise
 
8bit        =  1Byte
1024Byte  =  1kb
1024kb      =  1MB
1024MB     =  1GB

TO yahi farmola mobile company or computer laptop ki company b use karti hai,  pr jo memory card ya hard drive ki company hai wo thoda alag farmola use karte hain wo kaheta hai

8bit=1Byte To thik hai
1000Byte=1kb matlab 1kb ke peeche 24Byte ka nuksan
1000kb=1MB 1MB ke peeche 24 kb ka nuksan
1000MB=1GB 1GB me 24 MB ka nuksan

IS tarah hr calculation me hamare hesab se 24MB KA lost hota hai is tarah 24+24+24 matlab 72 MB KA 1GB me lost aata hai
 memory card ki jo company hai wo apne farmole se sahi banati hai 1000 Byte=1kb lekin jab ham ise mobile ya computer me lagate hain to wo use 1024Byte=1kb ke hisaab se check krta hai is liye hame 1GB me 72MB ka lost batata hai Agar aap 2 gb ka memory card lete hain to 72+72=144MB ka lost aayega phir ushi tarah aap check kare 1GB ME 72 MB ke hesab se ummeed krta hoon ab aap samajh gae hoge

Allah Hafiz

No comments:

Post a Comment