Showing posts with label Everything You Need to Know About Rooting Your Android Phone. Show all posts
Showing posts with label Everything You Need to Know About Rooting Your Android Phone. Show all posts

Tuesday, October 18, 2016

Everything You Need to Know About Rooting Your Android Phone[explain Hindi urdu]



Assalam U alikum 
All viewers main hoon Ansari Rizwan rbustaad ki janib se is post ke zarye main aap ko bataonga rooting ke baare me aap ne suna hoga android mobile ko root karne ke baare me to root kya hai  or mobile ko root karne se kya faide hai or kya hai root ke nuksan aaj ham samjhe ge,  
 
Root ka meaning hai jadd darakht ki jadd sam way jab aap mobile ko root karte ho to samajh lo ke aap apne (software) mobile  ki jadd tak pahonch gae ho phir sara control aap ke haath me hai

Agar main baat karu nuksan ki to meri nazar me 2 nuksan hai 

1st: nuksan ye hai ke jaise hi aap apna mobile ko root karte hain aap ke mobile ki jo warranty hoti hai wo khatam ho jati hai, sabhi company aisa nhi karti pr jo badi company hai jaise samsung, sony,
htc, etc

2st:nuksan hai "hacking" jab aap apne mobile ko root karte ho to aap ne us security system ko tod diya jo aap ko company ki taraf se di gae thi ab aise me agar aap ke mobile  ko kisi ne hack kar liya to hacker b aap ke software ki jadd tak pahonch jaega or jaise chahe ga waise handle kare ga,

Ab baat karte hai faede ki faeda ye hai k aap jaise chahe waise apne mobile ko customize kar sakte hai har tara se aap ka kabu hai jaise 
Ads remove kar sakte hai license remove karsakte hain internal memory ko bada sakte hai ram increas kar sakte hai bettary timing ko bada sakte hai
 etc
aaj ki date me bahot si apps mile gi play store me jo sirf root mobile ko hi sapport karti hai
Jab aap un app ko install karte ho to wo super su ki permition mangti hai take wo software ki jadd tak ja kr apna kamal dikhaye or agar aap use permition de dete ho to phir wo aap ko bahot support karti hai

Zarori nhi hai ke aap mobile ko root karo pahele aap dekh lo ke jo nuksan ho raha  hai is se aap ko farak padta hai ya nhi phir mobile ko root karo rhi baat apps ki to jaise jaise android ke new version 
 Aate hain waise waise google wala us me new featur add karta hai or jo app do teen saal pahele sirf root karne k baad hi chalti thi abhi wo  bina root kiye b  chalti hai
Ummed karta hoon aap samajh gae hoge phir milega
(Allah Hafiz)